Nida Fazli is one of my favourite poets. He writes most of the stuff that Jagjit Singh sings. Here's a poem he wrote about Advani in 1990 or something. Nice one.
Mujhe maloom hai tumharey naam sey mansoob hain tootey huey sooraj
Shikasta chand, kala aasmaan, curfew-zada rahein
Sulagtey khel ke maidan, roti cheekhti maae'n
Mujhe maaloom hai charo taraf jo ye tabahi hai
Hukumat mein siyasat ke tamashe ki gawahi hai
Tumhein Hindu ki chaahat hai na Muslim se adaavat hai
Tumhara dharm sadiyon se tijarat tha tijarat hai
Mujhe maloom hai lekin tumhe mujrim kahoon kaisey
Adaalat mein tumharey jurm ko sabit karoon kaisey
Tumhari jeib mein khanjar na haaton mein koi bum tha
Tumharey rath pe to Mariyada Purshottam ka parcham tha!!